Search This Blog

Tuesday, November 29, 2011

Ghazals


chhatrii lagaa ke ghar se nikalne lage haiN ham

chhatrii lagaa ke ghar se nikalne lage haiN hamab kitnii ehtiyaat se chalne lage haiN ham
is darje hoshiyaar to pahle kabhii na theab kyuuN qadam qadam pe sambhalne lage haiN ham
ho jaate haiN udaas ke jab do-pahar ke baadsuuraj pukaartaa hai ke Dhalne lage haiN ham
aisaa nahiiN ke barf kii maanand hoN magarlagtaa hai yuuN ke jaise pighalne lage haiN ham
aaiinaa dekhne kii zaruurat na thii ko’iiKhud jaante the ham ke badalne lage haiN ham
is kaa yaqiiN aaj bhalaa kis ko aayegaaek dhiimii dhiimii aaNch meN jalne lage haiN ham
*****************************

Bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona

Bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona
giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona
waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona
jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona
ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona
le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona
ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona
kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona
haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib' jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona
*****************************

Ramz ashnaa nahee miltaa

Ramz ashnaa nahee miltaaAbb koe ba wafaa nahee miltaa
Main jesay dhoondtaa hoon sajdoon mainMujhko aisa khudaa nahee miltaa
Kab say mere nazar kay samnayPher bhee uskaa pata nahee miltaa
Woh mere khilwatoon ka sathee haiMujh say meray sewa nahee miltaa
Kaisay choran gay us gali ko humAbb koe rastaa nahee miltaa
Zindagee ke syah ratoon mainNajam koe diyaa nahee miltaa
*****************************

Farz Mera Tha Aor Ma Nibhaata Raha

Farz Mera Tha Aor Ma Nibhaata RahaZakhm Khaata Gaya Muskurata Raha
Beech Darya Ma Us Ne Nazar Pher LiMa KinaaroN Se NazreiN Milata Raha
Raat Amawas ke Ghangor Sannate MaMere Kamre Ma ChaaNd Aata Jata Raha
Dost Sab AandhiyoN Ke Mureed Ho GayeMa CharaagoN Ko Apne Jalata Raha
Mere Bistar Pe PhooloN Ki Chaadar RahiRaat Bhar NeeNd Ko Aazmaata Raha
Ay Munir Itne Gham HaadsoN Ne DiyeUmr Bhar Un ko Apna Banata Raha
*****************************

Karb k shehar se nikle tu ye manzar daikha

Karb k shehar se nikle tu ye manzar daikhahum ko logon ne bolaya hamain cho kar daikha
jub bhe chaha hai k malboos-e-wafa ko choo lainmisl khushbo koe urta hoa paikar daikha
wo barsaat main bhegaa tu nigahain uthii'enu laga hai koe tarasha hoa pathar daikha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhe na thaes k atraaf main sholoun ka samanadar daikha
aa gae ghum ki hawa pher teray gaisoo cho karhum ne verana-e-dil pher se mo'aatar daikha
wo jo urti hai sada dasht-e-wafa main faysal usi mitti main nihaa'n dard ka ghouhar daikha
*****************************

Estarha sataya hai pareshan kia hai

Estarha sataya hai pareshan kia haigoya k muhabbat nahi ehsan kia hai
socha tha k tum dosroun jaisay nahi ho gaytum ne bhe wohi kaam meri jaan kia hai
mushkil tha bohat meray liye tark-e-ta'aluqye kaam bhe tum ne mera asaan kia hai
har rooz sajatay hain teray hijr main gunchayaankhoun ko teri yaad main guldaan kia hai
*****************************

Soochna shaam-o-sahar tum meray bare,soochna

Soochna shaam-o-sahar tum meray bare,soochnaaankh roey,hont kanpe,dil pokare,soochna
choriya,payal ki chan,pochain agar mera patasonay aangan rahon main panghat kinare,soochna
beti ratoun k adhore khawaab jub pochain tumhainkis liye palkon se totay hain sitare,soochna
bheeg jaaen be-erada jub kabhi palkain teriyaad aaen jub kabi bichray saharay,soochna
jub kabhi apnay ghamoun se haar jaao tu Qamarkis tarha zinda hain teray ghum k mare,soochna
*****************************

Nazar tishna labi ki dastan

Nazar tishna labi ki dastan kehne nahi detizuban hontoun pe theray dard ko sehnay nahi deti
ye dil be-taab rehta hai tarp jata hai pehlo mainmagar chahat,shikayat aankh main rehnay nahi deti
dukhoun ki aandhiyan uthtii bikharti hain khayalon maintabiyat hai k aankhoun se ye ghum behnay nahi deti
qarenay se liye jata hon main duniya se mehromisaleqay se magar duniya mujhay sehnay nahi deti
*****************************

Dukh fasana nahin ke tujh se kahein

Dukh fasana nahin ke tujh se kahein
dukh fasana nahin ke tujh se kahein dil bhi mana nahin ke tujh se kahein
aaj tak apni bekali kaa sabab Khud bhi jana nahin ke tujh se kahein
ek tu harfaashna tha magar ab zamana nahin ke tujh se kahein
be-tarah dil hai aur tujh se dostana nahin ke tujh se kahein
aye Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost aab-o-dana nahin ke tujh se kahein
*****************************

Lamhaa lamhaa yaad ataa hai

Lamhaa lamhaa yaad ataa hai pechlee rut ka sath tumharaHar mausam main tarpata hai pechle rut ka sath tumhara
Jab bhe tare yaad say agay barhna chahoon toh dil maraPher say aankh main lay ataa hai pechle rut ka sath tumhara
Tera rastaa taktay taktay aankho ka manzar sard hoa yonHar manzar main dar ataa hai pechle rut ka sath tera
Aas umeed kay deepak saray dheeray dheeray bhuj jata hainEnko pher sulgataa hai pechlee rut ka sath tumhara
Zaat kay es zanddaan main jee bekhray weraane kay dar sayHar pal cheekhta chellataa hai pechle rut ka sath tumhara
*****************************

Main jo din ko kahon raat, wo iqrar kare

Main jo din ko kahon raat, wo iqrar karyMujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar karyMere khatir wo sahy dunya k taany, dhakkyNangy pairoon sy wo saihraoon k kanty chakhyMujh ko paany k layee june k rozy rakhyMain hoon deewana, wo deewano sa izhar karyMain jo din ko bhi kahon raat, wo iqrar karyMujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar kary
*****************************

Ghum Ki Barish

Ghum Ki Barish
Ghum Ki Barish Ne Bhe Tera Naqsh Ko Dhoya NahiTu Ney Mujh Ko Khoo Diya Mainay Tujhe Khoya NahiNeend Ka Halka Gulabi Sa Khumaar Ankhon Main ThaYoon Laga Jaise Woh Shab Ko Deir Tak Soya NahiHar Taraf Dewar-O-Dar Or In Main Aankhon K HajoomKeh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e-Goyaa NahiJaanta Hoon Ik Aise Shakhs Ko Main BheGhum Se Pathar Ho Gaya Lakin Kabhi Rooya Nahi
*****************************

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,Khud Paband Rehtay Hain Tumhien Aazad Rakhtay Hain
Hamaray Khoon Main RAB Ne Taseer Hi Aesy Rakhi Hai,Burian Bhool Jatay Hain Acchiyan Yaad Rakhtay Hain.
Yeah soch ker ke gustakhi na ho jaye muhabbat main,Is Liye Apna Her Qadam Teray Qadam Ke Baad Rakhtay Hain.
*****************************

Tujhe ishq ho khuda Karay

Tujhe ishq ho khuda Karaykoi usko tujh se juda karayteray hont hasna bhool jayeteri ankh num raha karay
to uski baatain kiya karayto uski baatain suna karayto us ko dekh ker ruka karaywo tujhe dekh ker chala karay
tujhe hijar ki Aisy chari lagayto milan ki her pal dua karayto tarpay uske ishq mainwo tujhe bhoolnay ki dua karay
tujhe ishq ho phir yaqeen hoto use tasbeehon main parha karaymain kaho ke ishq to dhong haito nahi nahi kaha karay
teray samnay tera ghar jalaytera bas chalay na bhuja sakayteray moun se yahi dua niklayna ghar kisi ka jala karay
*****************************

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gaya

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huwayna tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab thazara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas kertu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chukause ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya
Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil haikahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thienwo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahina malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya
*****************************

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon
us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
us ne poocha kab se nahi soye
main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon
us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon
AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON
*****************************

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na HogiYeah Naghmay Gungunanay Se Muhabbat Kum Na HogiMain Teri Chund Yadoon Ko Gazal Ka Roop De DoongaTumharay Aazmanay Se Muhabbat Kum Na HogiDuaoon Ke Tabassum Se Ghataoon Ka Jigar PiglayMager Yoon Muskuranay se Muhabbat Kum Na HogiNashemun Zindagi Ka Noor Se Bhi Khoob Roshan HaiSumander Ke Lutna Se Muhabbat Kum Na HogiFaraq-o-Wasal Ki Batien To Touheen -e- Muhabbat HainKisi Ke Door Janay Se Muhabbat Kum Na HogiCharaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Her Ghari Her DumKe Teray Yoon Satanay Se Muhabbat Kum Na Hogi
*****************************

Kuch Din To basoo mairy ankhoon main

Kuch Din To basoo mairy ankhoon mainPhir khawab ager ho jaoo to kia
Koi rang to do mairay chehray koPhir zakhum ager mehkaoo to kia
Jub hum hi na mehkay phir sahibTum bad-e-saba kehlaoo to kia
ik Aiyna tha so toot gayaAb khud se ager sharmaoo to kia
Tum Aas Bandhanay walay thayAb tum Bhi hamien thukraoo to kia
duniya bhi wohi aur tum bhi wohiPhir tum se Aas lagaoo to kia
main tanha tha main tanha hoonTum aao to kia na aao to kia
jub dekhnay wala koi nahibujh jaoo to kia gehnaoo to kia
ik wahem hai yeah duniya is mainkuch khoaoo to kia aur kuch paoo to kia
hai yoon bhi Zaiyan aur yoon bhi zaiyanjee jaoo to kia mur jaoo to kia
*****************************

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana
Milain joh gham toh mohabbat enhay bana lana
Tumhain khabar nahee es kam fahm zamanay ki
Machaltee arzoo oan ko kahen chupa lana
Hai eskee bazm magar pas ay adab bhe aisa
Naa kuch bhe kehna aur subkuch esay sona lana
Samait kar tamaam dard eskee yaadoon kaa
Puranee kabar pay kutbaa naya lagaa lana
Dil kay sheeshay pay nae zarb laganay kalya
Tum apnay hath main pathar baraa utha lana
Zahaay naseeb kay tum mujhko yaad kartay ho
Warnaa mushkel toh nahe tha mujhay bholaa dana
*****************************

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq mainmanzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam parjis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn huekhud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheerniklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi rahasehra norad ho gaey daulat k shauq main
daaman main hasraton k siwa kuch nahi aey dostaisay lutay hain ham teri chahat k shauq main !!!
*****************************

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhain

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhainzamanay bhar ki kadoratoun ko muhabbatoun se mita k dekhain
andheri rahon main ban k jugno dikhaaen rasta musafiroun kohar eak dil ko karain munawwar nazar nazar jagmaga k dekhain
chopa hoa hai jo hasratoun main talaash es ki tumhain bhe ho gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo sare par de utha k dekhain
agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo nigahoun k saamnay haijo zarray zarray main bas raha hai usay nigahain jhuka k dekhain
wohi tu hai jo kamaal-e-fan se nizaam-e-duniya chala raha haijo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti main aa k dekain
sama k soraj ki roushni main mitaaen duniya se teerge kofalak ki chadar pe ban k tare har ek shab jhilmila k dekhain
ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe barsain tu piyaar ban karnaaey shagofoun ki aankh ban k chaman chaman muskora k dekhain
wajood apna ho patharoun main tu naam apna ho laal-o-marjankabhi samandar main ban k moti sadaf k dil main sama k dekhain
kabhi tu dil se mita k nafrat muhabbatoun ki niyaaz baantaindiiye muhabat k apnay dil main kabhi tu Muzter jala k dekhain
*****************************

Lamha lamha mera, malaal ka hai

Lamha lamha mera, malaal ka haisilsila ye to mahh-o saal ka hai
saarey lamhy hain hijr key lamheyik lamha terey wasaal ka bhi hai
jeet leta hai dil tu baaton sayye huner bhi tera kamaal ka hai
aur kuch dair tou thaher jaowaqt dekho abhi zawaal ka hai
ye jo husn-e-khayaal hai meraaks ye bhi terey jamaal ka hai
mai khan koi shair kehti hunye karishma terey khayaal ka hai
jaan dey dun mai pal bhar maiMuntazir bas terey sawaal ka hai
*****************************

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye

Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak
Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye

Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki
yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye

Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN
dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye
*****************************

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waley

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waleyhaye aaye na hame dhang zamane waley
aankhon hi aankho mai parr lete thai baten dil kiab nahi log wo Ghalib k zamane waaley
ab galey lagne ko kehte hen hamen manzil parbeech rastey mei hamen chhorh k janey waley
rah mei meri jinhe sang bichhate payaye wahi thai mujhe phulon pe chalane waley
tanz k teer wahi raah mai barsate henjo hey dunya ki nigahon se girane waley
dil hi dil mei na kabhi karna mohabbat Mahrookhnahi chaltey yahan chahat k chhupane waley
*****************************

Marne K Baad Ye Kahani likhna ..

Marne K Baad Ye Kahani likhna ..Kaise Hoye Barbad Meri jawane likhnaMain Rota Tha Uski Yaad Mein Ye Barbade LikhnaMain Us Bewafa Ko Kyun Nahi Bhool Jata Ye Sachaye LikhnaBar Bar Uski Yaad Satati Hai Main Uski Yaad Me Rote Rehta Ho Ye Aankho Se Gire Ek Ek Aansoun Ki Gawahi LikhnaPyaar Sirf Dhoka Hai Ye Sachaiye LikhnaMere Dil Me Itna Dard Kyun Hai Ya Khuda Main Kaise Jiyoun Us K Bina Ye Dewaangi LikhnaKyun Usne Chood Diya Pal Bhar Ka Sath Nibha KarPyaar Ka Ye Khail Khail Ke ye darya Me Dobe Hoye Ye Pyaar Ki KahaneLikhna....Saans Chub Rahi Hai Aisa Lagraha hai Main har Ek Pal Mar raha hon Tothe Har ek saans Ki tadap Ko likhna Marne K Baad Ye Kahani Likhna Kaise Hoye barbad Meri Jawana likhna
*****************************

Samay samay ki khalish main tera malaal rahy

Samay samay ki khalish main tera malaal rahyJudaiiyon main bhii yun aalam-e-wisaal rahy
Ana kii jang main hum jeet to gaye lakinPhir uss ke baad der tak nidhaal rahy
Raah-e-junoon main ye hii zaad-e-raah hota haiKe justaju barhay deewangii bahaal rahy
Haseen raatain bhii mehkain tumharii yaadon mainKarray dino main bhii pal pal tera khayaal rahy
Tu ek baar zara kashtiyaan jala to sahiiHai kiya majaal ke ek lamha bhii zawaal rahy
*****************************

Mere lab o qalam ke ajz ko

Mere lab o qalam ke ajz ko koi aisa hunar e kamal deJo meri khwahishoN ke jhund ko takmeel ke darje ma dhal de
Meri khilwatoN ke ay razdaaN, meri jalwatoN ke rafiq sunKissi se kuch bhi gharaz nahi, mujhe apna aks e khayaal de
Kabhi yooN bhi ho ke wo choom kar mere in laboN ko payar seMeri rooh ke zakhm samait le, mujhe jaaN'kani se nikaal de
Teri chahatoN ke dais ma mere roz o shab tamam hoNTere bichaRne ka koi dar na ho mujhe aise maah o saal de
Meri be'basi ko zubaaN mile, meri kam'nigaahi ujaal deKe jahaaN se kuch na talab rahe, mujhe aisa izn e sawal de
Mujhe um'r bhar naseeb ho, meri zindagi pe moheet hoJo kabhi bhi khatm na ho sake, mujhe aisa koi wisaal de
*****************************

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamosh

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamoshDayaar-e-khird ma gumaaN khaamosh
Lab basta khaRa hooN maqtal maDe raha hooN ma ik azaaN khaamosh
Dil ma aahat thi teri yaadoN kiHo gaya dard ka jahaaN khaamosh
Din ma hangaam-e-lutf-e-karb thaRaat ma dard tha jawaaN khaamosh
DhaRkanoN ka nagar, ye teri galiDil bhi aa kar hua kahaaN khaamosh
Baat kaise baRhe bata faysalWo wahaaN chup to ham yahaaN khaamosh
*****************************

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen jaanevaalii chiiz kaa Gam kyaa karen
puure honge apne armaaN kis tarah shauq behad waqt hai kam kyaa karen
baksh den pyaar kii gustaaKhiyaaN dil hii qabuu men nahiin, ham kyaa karen
ek saaGar par hai apnii zindagii raftaa raftaa is se bhii kam kyaa karen
kar chuke sab apnii-apnii hikmaten dam nikaltaa hai ai mere hamdam kyaa karen
dil ne siikhaa shevaa-e-begaanagii aise naamuharim ko muharim kyaa karen
maamlaa hai aaj husn-o-ishq kaa dekhiye vo kyaa karen ham kyaa karen
kah rahe hain ahal-e-sifaarish mujhse "Daag" terii qismat hai burii ham kyaa karen
*****************************

(BE WAJA)

(BE WAJA) is dard k bad koi dard dard nhi lagtakay shiddat-dard ki inteha hoti hai mohabbatnahe uthte wo aankhen phir kisi perky jin aankhon mai fana hoti hai mohabbatumar bhar jin ka azala na kar paaybas ek awsi hi khata hota hai mohabbatjo mil jay to bas phir kia kehnawarna wk musalsal saza hoti hai mohabbatlog mujh se har bar yehi poochty hain,tum ne aus mai kia dekhame har bar yehi kehta hoon (BE WAJA) hoti hai mohabbat
*****************************

hamain achchhaa naheen lagtaa!

Jhapatatey paas aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!Bahaanoun sey bulaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Hamaarey dost, ham par fabtiyaan kastey hain; jaltey hain;Unhain fir-fir jalaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Kahaan tak sitaarey gin-gin, uneendey khwaab deykheyn ham?Wahee sapney dikhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Musalsal feihrishteyn hai: kareyngey yah, kareyngey wah;Bahut baateyn banaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath jaayen bazm mein? Toubaa! Na jaayengey!!Baraabar gul khilaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaarey saath rahtey huye, rahtey paas; fir bhi tum,Bahut nazdeek aatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Tumhaaraa kyaa, khisak jaatey ho gupchup baardaateyn kar?Sabhi khillee urhaatey hain: hamain achchhaa naheen lagtaa!
Arey kyaa ho gayaa hai? Kareyngey, jo bhi kahogey tum!Zaraa mein roothh jaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Chalo ab maan jaaou! Roothhtey hain ham bhi: yah sach hai!Chhalaawoun sey sataatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
Tumhain jab ham manaatey hain: chahak uthhtey ho man hi man!Magar jab tum manaatey ho: tumhain achchhaa naheen lagtaa!!
‘Abd’, yeh dil ki baateyn hain: raheyn dil mein to hain mouzoon;Tunak jab barhbarhaatey ho: hamain achchhaa naheen lagtaa!!
*****************************

Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa

Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay dil ka khel ma khelnay walay bhe kya jeetay hain
Woh jenkay chashmay khud main overon ko daikha nahe kartay
Bhalaa kes gham kay taar main motee perotay hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay kyaa manind a sheshaa pathar main baal ataa hai
Asar angayz hai abtak mohabbat ka wahe jazbaa
Jo asay hosh mandoon ko bhe yon pagal banata hai
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Mezaajay husn main yon yak bayak kyaa inqilaab ayaa
Sitara daikhna aur daikh kar afsurdaa ho jana
Baree takheer say tumko sitaron ka hesaab ayaa
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay tark rabt par kyaa mujhsay wahshee yaad ataa hain
Taaluk tornaa asaan tha to kyon yah ankh nam hai
Anaa yarwar jafaa pashaa bhe yoon ansoo bahaty hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay jalnay aur jalanay main bhalaa kyon lutf ataa hai
Bus ek chotee anaa kay wastay barbaad ho janaa
Khudee kay gham main ensaan kitnay dukh uthata hai
*****************************

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daitey

ikk baar hii chahat ki saza kyu'n nahee'n daiteyzinda hoo'n tau marne ki dua kyu'n nahii daitey
ikk aag jo bujhti na bharhkti hai ziyadauss aag ko daman ki hawa kyu'n nahii daitey
bichhrhey huwe lamhe bhi kabhi laut k aaye?bichhrhey huwe lamho'n ko bhula kyu'n nahii daitey
darya mai pukare chaley jate ho hameshasehrao'n mai sawan ko sada kyu'n nahii daitey
dekho naa! kayee yaar boht khauf zada hainpal bhar ko charago'n ko bujha kyu'n nahii daitey
*****************************

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se mahataab utrey dast-e-saaqii mein aftaab aaye
har rag-e-KhuuN mein phir chiraaGhaaN ho saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar teray mehr-o-wafaa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gham-e-jahaaN ka hisaab aaj tum yaad behisaab aaye
na gaee tere Gam kee sardaaree dil mein yuun roz inqalaab aaye
jal uThe bazm-e-Ghair kei dar-o-baam jab bhii ham KhaanamaN Kharaab aaye
is tarah apanii Khamushee guuNjeegoya her simt se jawaab aaye
'Faiz' thii raah sar basar manzil ham jahaaN pahuNche kaamayaab aaye
-------------
*****************************

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa
the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa
Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa
vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa..
*****************************

TUM AYE HO,NA SHAB-E-INTEZAAR GUZRI HAI

TUM AYE HO,NA SHAB-E-INTEZAAR GUZRI HAITALASH MAI HAI SEHAR,BAR BAR GUZRI HAI
JUNOON MAI JITNI BHI GUZRI,BAKAR GUZRIAGARCHA DIL P KHARABI HAZAAR GUZRI HAI
HUI HAI HAZRAT-E-NASEE SE GUFTAGOO JIS SHABWO SHAB ZAROOR SAR-E-KOYE YAR GUZRI HAI
WO BAAT SARE FASANEY MAI JIS KA ZIKER NA THAWO BAAT INKO BAUHT NAGAWAR GUZRI HAI
NA GUL KHILE HAIN,NA UN SE MILE,NA MAI PII HAIAJEEB RUNG MAI AB K BAHAR GUZRI HAI
CHAMAN P GARAT-E-GULCHEN SE JANE KIA GUZRIKAFAS SE AJJ SABA BE-QARAR GUZRI HAI.....
*****************************

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN jaise bichRay hue kaabay meiN sanam aate haiN
aik aik ker k hue jaate haiN taare roshan merii manzil kii taraf tere qadam aate haiN
raqs-e-meh tez karo, saaz kii lay tez karo suu-e-meh'khana safiiraan-e-haram aate haiN
kuch hamiiN ko nahiiN ehsaan uthane ka dimaagwoh to jab aate haiN maail-e-ba'karam aate haiN
aor kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhii kam dukhta hai woh yaad bhii kam aate haiN
*****************************

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN

Dil meiN ab yuN tere bhoole hue gham aate haiN jaise bichRay hue kaabay meiN sanam aate haiN
aik aik ker k hue jaate haiN taare roshan merii manzil kii taraf tere qadam aate haiN
raqs-e-meh tez karo, saaz kii lay tez karo suu-e-meh'khana safiiraan-e-haram aate haiN
kuch hamiiN ko nahiiN ehsaan uthane ka dimaagwoh to jab aate haiN maail-e-ba'karam aate haiN
aor kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhii kam dukhta hai woh yaad bhii kam aate haiN
*****************************

nahii nigaah me manzil to justajuu hii sahii

nahii nigaah me manzil to justajuu hii sahii nahii visaal mayassar to aarazuu hii sahii
na tan me Khuun faraaham na ashk aaNkho menamaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii
kisii tarah to jamey bazm maikade vaalo nahii jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii
gar intezaar katthin hai to jab talak ai dil kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii
dayaar-e-Gair me.n maharam agar nahii ko_ii to 'Faiz' zikr-e-vatan aane ruu-ba-ruu hii sahii
*****************************

donoN jahan teri mahabbat meiN haar kay

donoN jahan teri mahabbat meiN haar kaywoh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar kay
weeraaN hai mai-kada khum o saaghar udaas haiNtum kya gaye ke rooTh gaye din bahaar kay
ik fursat-e-gunaah mili, woh bhi chaar dindekhay haiN hum nay hauslay parwardigaar kay
duniya ne teri yaad say begana kar diyatujh say bhi dil-fareb haiN gham rozgaar kay
bhoolay se muskura to diye thay woh aaj "FAIZ"mat poochh walwalay dil-e-nakarda kaar kay
*****************************

Chashm e meegun zara idhar kar de

Chashm e meegun zara idhar kar deDast e qudrat ko be asar kar de
Taiz hai aaj dard e dil SAQITalkhi-e-mae ko taiz tar kar de
Josh e wehshat hai tishna kaam abhiChaak e daman ko Taa'jigar kar de
Meri kismat say khelnay walayMujhay kismat sey bekhabar kar de
Lut rahi hai meri mata-e-niaz Kaash wo is taraf nazar kar de
Faiz takmeel-eaarzoo maloomHo sakey to yun he basar kar de
*****************************

Ham par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai

Ham par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai Dushnaam to nahin hai ye ikaraam hi to hai
Karte hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai Aey jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai
Dil na-umeed to nahin, na-kaam hi to hai Lambi hai ghum ki shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mein, gardish-e-taqdeer to nahin Dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa Wo yaar-e-khush_khasaal sar-e-baam hi to hai
Bheegi hai raat 'faiz' gazal ebtida karo Waqt-e-sarod dard ka hungaam hi to hai
*****************************

Sabhii kuch hai tera diya hua

Sabhii kuch hai tera diya hua sabhii raahatain sabhii kalafatain Kabhi sohabatain kabhi furqatain kabhi dooriyaan kabhii qurbatain
Ye suKhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varq teri yaad ke Koii lamhaa subah-e-visaal ka, kaii shaam-e-hijr ki qurbatain
Jo tumhari maan lain naasihaa to rahe ga daaman-e-dil main kiya Na kisi uduu ki adaavatain na kisi sanam ki muravatain
Chalo aao tum ko dikhaayain hum jo bacha hai maqtal -e-shahar main Ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatain
Meri jaan aaj ka Gham na kar, ke na jaane kaatib-e-vaqt ne Kisi apane kal main bhi bhool kar kahin likh rakhi ho masarratain
*****************************

Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum

Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum sab kuch nisar raah-e-wafa kar chukay hein hum
kuch imtihaan-e-dast-e-jafar kar chukay hien hum kuch un ki dastrass ka pata chukay hein hum
ab ehtiyaat ki koi sorat nahi rahi ,qatil say rasm-o-raah siwa kr chukay hien hum
dekhin hay koun koun, zarorat nahi rahi Koaey sitam men sab ko khafa kr chukay hein
ab apna ikhtiyaar hay chahein jahan chalein rahbar say apni raah juda kar chukay hein
un ki nazar mein , karin , pheeka hay ab bhi rang jitna lahoo tha sarf-e-quba kr chukay hein hum
kuch apnay dill ki khuu ka bhi shukrana chahye so bar un ki khuu ka gila kar chukay hein hum
--------------

har haqiiqat majaaz ho jaaye

har haqiiqat majaaz ho jaayekaafiro.n kii namaaz ho jaaye
minnat-e-chaaraasaaz kaun karedard jab jaa.N navaaz ho jaaye
ishq dil me.n rahe to rusavaa holab pe aaye to raaz ho jaaye
lutf kaa intazaar karataa huu.Njor taa hadd-e-naaz ho jaaye
umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'kaash afshaa-e-raaz ho jaaye
*****************************

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe sevo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se
kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile sevo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se
nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kiivo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se
bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraavo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se
tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaaye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-kade se
*****************************

NASEEB AAZMAANAIN KAY DIN AARAY HAIN,

NASEEB AAZMAANAIN KAY DIN AARAY HAIN,QAREEB UN KAY AANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
JO DIL SEY KAHA HAI JO DIL SEY SUNA HAI,SUB UN KO SUNANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
ABHI SEY DIL-O-JAN SAR-E-RAH RAKH DO,KEH LUTNAIN LUTANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
TAPAKNAIN LAGEE UN NIGAHON SEY MASTI,NIGAHAIN CHURANAIN KAY DIN AARAY HAIN.
SABA PHIR HAMAIN POOCHTEE PHIR RAHEE HAI,CHAMAN KO SAJANAIN KAY DIN AARAHEY HAIN.
CHALOO FAIZ PHIR SEY KAHEEN DIL LAGAEN,SUNA HAI THIKANAIN KAY DIN AARAHEY HAIN.
*****************************

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya Dil buhot kuch jala k dekh liya
Aur kya dekhne ko baqi hai Ap se dil laga k dekh liya
Wo mere hok bhi mere na hue Unko apna bana k dekh liya
Aj unki nazar main kuch hamne Sabki nazren bacha k dekh liya
'Faiz', taqmil-e-gam bhi ho na saki Ishq ko azma k dekh liya
As us dar se tutati hi nahin Ja k dekha, na ja k dekh liya..
*****************************

Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Hoa Ke Mar Gaye

Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Hoa Ke Mar GayeTere Bhi Din Guzer Gaye Mere Bhi Din Guzer Gaye
Tu Bhi Kuch Aur Aur Hay Ham Bhi Kuch Aur Aur hainJanay Wo tu Kidher Gya Janay Wo Ham Kidher Gaye
Rahon Main Hi Milay Thy Ham Rahain Naseeb Ban GayinTu Bhi Na Apne Ghar Gya Ham Bhi Na Apne Ghar Gaye
Wo Bhi Ghubar-e-Khak Tha Ham Bhi Ghubar-e-Khak ThyWo Bhi Kahin Bikher Gya Ham Bhi Kahin Bikher Gaye
Koi Kinaary Abjoo Baitha Hoa Hay Sar NigoonKashti Kidher Chali Gai Janay Kidher Bhanwer Gaye
*****************************

Kahan yah bus main kay hum khud ko hoslaa datay

Kahan yah bus main kay hum khud ko hoslaa datay
Yahee bohat tha kay har gham pay muskura datay
Hawaa ki door ulhajtee jo ungliyon say kabhe
Hum aasman pay tera naam tak sajaa datay
Hamaray aks main hotee jo zakhma a dil ke jhalak
Hum aainay ko bhe apne tarah rulaa datay
Humain bhe jo roshaniyon par jo dastras hotee
Kabhe chiraag jalatay kabhee bhujaa datay
Humaray paon hawaon ki zad main thay warna
Guzartee umar ko ruk ruk kay hum sadaa datay
Abb eskee yaad say eska badan tarashan hain
Woh khwaab bhe toh nahe tha kay hum bhola datay
Yah ese wastay mohsin kahee hai taaza ghazal
Hum eske salgirah pay aur abb kya datay

Monday, November 28, 2011

Ghazals

Tujhay Bhoolne Ki Koshish Mein
Tujhay Bhoolnay Ki Koshish Mein,
Jab Dil Ye Zidd Pe Aa Gaya,
Main Aankh Muund Ke Baith Gaya,
Tu Khayaal Pe Phir Chaa Gayi......
Ye Dhadkan Kahi Ruk Jaaye Na,
Meri Nabz Thaher Na Jaaye Kahin,
Tunay Waqt Kiya Mera Lamha-Lamha Magar Maot Ko Aasan Bana Gayi...
Meri Har Daleel Ko Kiya An-Suni,
Meri Fariyaad Bhi To Suni Nahii,
Main Hairan Hun,
Han Kuch Pareshan Hun,
Aisaa Faisla Mujhay Tu Sunaa Gayi.....
Mujhay Chand Ki Kabhi Talab Na Thi,
Mujay Suraj Ki Bhi Fikar Nahi,
Bas Aankh Kholna Hi Chahtay Thay Hum,
Magar Tu Roshni Hi Buujha Gayi....
Be-Shak Bhoolna Tujay Chaha Bahot,
Hans Kar Kabhi, Ro Kar Kabhii,
De Kar Ye Aansoo Ki Saughat Mujhay,
Tu Daaman Apna Bachaa Gayi........
********************

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay,

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay,
 Phir Bhi Na Aashnayi Manzil Hum Rahay.
Phir Taaza Ho, Rasm-e-Inkaar Magar...!!
 Zer-e-Labb Ek Halka Sa Tabassum Rahay.
Phir Labon Pe Teray Naam Ka Naghma Tahere,
Pesh-e-Nigaah Tasweer Mujassam Rahay...!
Ek Zaraa Teri Yaad Ki Khushboo Maheke,
Ta-Der Phir Qarya-e-Jaan Mein Matam Rahay.
Aankhe Hi Dariya Mizaaj Mili Hai Humko,
Naseeb-e-Daman Yahi Hai Ke Namm Rahay.
Umr Mohabbat Ki Is Se Kai Kam Hai,
Saamnay Suraj Ke Jitni Der Shabnam Rahay.
Aawargi Kab Kisko Raas Aayi Shaheen,
Khayaal-e-Pareshan Se Kaho Ke Tham Rahay.
********************

Kabhi Udaas Jo Dekho, To Tum Udaas Na Hona

Kabhi Udaas Jo Dekho,
To Tum Udaas Na Hona,
Kabhi Naraz Jo Dekho,
To Tum Naraz Na Hona,
Mohabbat Ke Dino Mein To Aksar Aisa Hota Hai,
Kio Naraz Hota Hai,
Koi Udaas Hota Hai,
Magar Ye Yaad Rakhna Ke,
 Mohabbat Hi Ki Taqat Hai,
Udaas Jeevan Ko Jo Khushiyon Se Bhar Daale,
Naraz Dilon Ko Jo Phir Se Mila Daale,
Khwabon Mein, Khayalon Mein,
 Raaton Mein,
 Ujalon Mein, Koi Jab Yaad Aata Hai,
 Aankhon Mein Bas Sa Jaata Hai,
Dil Mein Utar Sa Jata Hai,
Aise Mein Kisi Soorat,
Phir Dilko Chain Nahi Padta,
Magar Ye Yaad Rakhna Ke,
Yaad Wohi Aata Hai,
Jo Dil ko Pyara Hota Hai..................!!
********************

Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To
Ye Khula Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi
********************

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai,

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,
Tum Agar Na Saath Dogay To Ye Kis Tarhaa Kateyga
Meri Sonch Ki Hadon Tak,
Ye Gumaan Bhi Kaise Aaye,
Koi Pal Bina Tumhare,
Bhalaa Kaise Beet Jaaye..
Mere Paas Tum Nahi Ho,
 Mere Paas Kab Nahi Ho.
Meri Yaad Ke Nagar Mein Mere Khawab Ke Safar Mein
Meri Sonch Ke Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanvar Mein
Mere Dil-o-Jaan Mein
Tan Mein Meri Hasraton Ke Ban Mein.
Mere Dil Ki Teergi Mein,
 Meri Shab Ki Roshni Mein.
Haan,
Tum Hi Ho Har Kahin Ho,
Merey Paas Kab Nahi Ho....

Meri Har Duaa Ka Mahwar,
Bas Ek Aarzoo Tumhari,
Iss Aarzoo Ke Aagay,
 Koi Raasta Nahi Hai.......

Tumhe Kis Qadar Hai Chaha,
Ye Tumhe Pata Nahi Hai....!!
********************

bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar ham

bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar hammuR kar na tujhe dekh sake vaqt-e-safar ham

ai husn! kisii ne tujhe itnaa to na chaahaabarbaad hu’aa tere liye kaun, magar ham
jiine ka hameN Khud na milaa vaqt to kyaa hailogoN ko sikhlaate rahe jiine kaa hunar ham
ab tere ta’lluq se hameN yaad hai itnaaek raat ko mehmaan rahe the tere ghar ham

duniyaa kii kisii chhaaNv se dhundlaa nahiiN saktaaaaNkhoN meN liye phirte haiN jo Khvaab-e-sehar ham

vo kaunsii aahaT thii jo KhvaaboN meN dar aayiikyaa jaaniye kyuuN chauNk paRe picchle pehar ham
********************

husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye

husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiyeishq kii maGfirat kii du’aa keejiye

is saliiqe se unse gilaa keejiyejab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiyesaamne aaiinaa rakh liyaa keejiye

ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baaditnii jaldii na ye faislaa keejiye

ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarahaise khul ke na sabse milaa keejiye
********************

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuNus ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii haidiivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa haighar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN
jaise meraa chehraa mere dushman kaa hoaaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN
manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiNgulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN
manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiNrastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN
shah’r sangdlaal (?) meN “Amjad” har raste paraavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN
 ********************

Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kii

Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kiiamiir-e-shah’r se yaarii nahiiN kii

kisii mansab kisii ohde kii khaatirko’ii tadbiir baazaarii nahiiN kii

bas itnii baat per duniyaa Khafaa haike maine tujh se Ghaddaarii nahiiN kii
mirii baatoN meN kyaa taasiir hotiikabhii maiN ne adaakaarii nahiiN kii

mire aiboN ko ginvaayaa to sab nekisii ne merii Gham-Khwaarii nahiiN kii

Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain

Tu bata a dil-e- betaab,kahan aatey hain Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekinEk muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aayaWarna sehraon mein selaab kahan aatey hain
Meri bedaar nigahon mein agar bholey seNeind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi haiHosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar leinHum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thiAb muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain
********************

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarahthoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath detuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaamera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaaraftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayiijism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
********************

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai

terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul hai
Gham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai

us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahi
iN kacche GhaRe pe tair kar jaanaa fizuul hai

jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai
********************

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii
,aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai
sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai

apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahi
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai
********************

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiNke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raattuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne koto aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekhhavaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN main
********************

kab uskaa visaal chaahiye thaa

kab uskaa visaal chaahiye thaabas aik Khayaal chaahiye thaa
kab dil ko javaab se Gharz thiihoNToN ko savaal chaahiye thaa
shauq ek nafas thaa aur vafaa kopaas-e-maah-o-saal chaahiye thaa

ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamkobe-misl-o-misaal chaahiye thaa

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiNmumkin ko muhaal chaahiye thaa
********************

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiNsab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuNsun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataajiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpeshhar kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamzesar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaake yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaajab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN
tum se jaanaaN milaa huuN jis din sebe-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN
kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa haike achaanak, sudhar gayaa huuN main
********************

Meri har ghazal ka wohi unwaan raha hai

Meri har ghazal ka wohi unwaan raha hai
Magar aaj tak woh mujh sy anjaan raha hai
Btany sy darta hon kih bura na maan jaye
issi na btany sy , bura woh maan raha hai
Chehra uska har waqat samaya hai aankon mein
Chhup kar dekhta hai mujhy,shaid pehchan raha hai
Mohabat to parindon ko bhi hai, charindon ko bhi
Bewafai k liye bacha sirf insaan raha hai
Na bataya ussy k abhi, na woh samajh paya
Shaid pta hai meri mohabat ka yehi guman raha hai
Chamak na thi uski aankhon mein pehly jaisi
Lagta hai kih woh kisi bat sy parshan raha hai
Chehry py kabhi udaasi aany na di aaj tak
Lekin dil humara har par sunsaan raha hai
********************

Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hen

Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy henApny dil ki har baar ussy bata bethy hen
Uss ki talaash mein itni door nikal gye Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hen
Woh na mila par itna zroor hoa kih Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hen
Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ny Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hen
Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hen
ALI us ko to haasil nahi kar paya lekinUski khatir apnon sy dushmani kama bethy hen
********************

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thijaisi ab hai, teri mehfil, kabhi aisi to na thi
le gayaa cheen ke kaun aaj teraa sabr-o-qaraar?beqaraari tujhe, ae dil! kabhi aisi to na thi
un ki aaNkhoN ne, Khuda jaane, kiyaa kyaa jaadooyeh tabeeyat meri maa'il(attracted) kabhi aisi to na thi
kyaa sabab tu jo bigaD.taa hai 'zafar' se har baar?KHoo teri hoor-e-shimaa'il kabhi aisi to na thi
********************

Mohabbat kee hararat ho rahi hai

Mohabbat kee hararat ho rahi hai
mere dil mai shararat ho rahi hai
tere qadmo,n ki aahat se lage yu,n
kay tu mujh mai sarayat ho rahi hai
na kyon pehle samajh paya mohabbat
 mujhe khud se shiqayat ho rahi hai
samajh na paae jo jazbaat sachay
mujhe un se hiqarat ho rahi hai
dilon kay hoslo,n se aaj oonchi
mohabbat ki imarat ho rahi hai
ishq ki tay huee wafa qeemat ajab
dekho tijarat ho rahi hai
bay intikhaab tere naam ahsan mohabbat
 ki vizarat ho rahi hai
********************

Manaa ke musht-e-Khaak se baakar nahiin hun main

Manaa ke musht-e-Khaak se baakar nahiin hun mainlekin havaa ke raham-o-karam par nahiin hun main
insaan hun dhadakte huye dil pe haath rakhyun Dubakar na dekh samundar nahiin hun main
chehare pe mal rahaa hun siyaahii nasiib kiiaa_iinaa haath men hai sikander nahiin hun main
Ghalib terii zamiin men likkhii to hai Gazaltere kad-e-suKhan ke baraabar nahiin hun main
********************

Tujhe ishq ho khuda Karay

Tujhe ishq ho khuda Karaykoi usko tujh se juda karayteray hont hasna bhool jayeteri ankh num raha karay
to uski baatain kiya karayto uski baatain suna karayto us ko dekh ker ruka karaywo tujhe dekh ker chala karay
tujhe hijar ki Aisy chari lagayto milan ki her pal dua karayto tarpay uske ishq mainwo tujhe bhoolnay ki dua karay
tujhe ishq ho phir yaqeen hoto use tasbeehon main parha karaymain kaho ke ishq to dhong haito nahi nahi kaha karay
teray samnay tera ghar jalaytera bas chalay na bhuja sakayteray moun se yahi dua niklayna ghar kisi ka jala karay
********************

Hama-waqt ranj-o malal kia

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huwayna tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab thazara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas kertu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chukause ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya
Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil haikahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thienwo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahina malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya
********************

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,

Chalo Muhabbat Ki nayi Bunyad Rakhtay Hain,Khud Paband Rehtay Hain Tumhien Aazad Rakhtay Hain
Hamaray Khoon Main RAB Ne Taseer Hi Aesy Rakhi Hai,Burian Bhool Jatay Hain Acchiyan Yaad Rakhtay Hain.
Yeah soch ker ke gustakhi na ho jaye muhabbat main,Is Liye Apna Her Qadam Teray Qadam Ke Baad Rakhtay Hain.
********************

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon
us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
us ne poocha kab se nahi soye
main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon
us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon
AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON
********************

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna hai

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna haiWo sach kahay na kahay aitbar kerna hai
Yeah tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se huwa?Mujhay to khair tera intizaar kerna hai
Hawa ki zid main jallaye hain Ansoon k chiraaghKabhi yeah jashan ser-e-rah guzaar kerna hai
Wo muskura ker nayi wasoosoon main daal gayaKhayal tha use sharamsaar kerna hai
Teray firaaq main din kis tarha kaateinKe shaghal-e-shab tu sitaray shumaar kerna hai
Chalo yeah Ashak hi moti samajh ker Baich aienKisi tarha to humain Rozgaar kerna hai
********************

mujh se bichar ke Khush rahatay ho

mujh se bichar ke Khush rahatay homairy tarah tum bhi jhootay ho
ik Tahni per chand Tikaa thamain yeah samajha tum baithay ho
ujale ujale phool khilay thaybilkul jaisay tum hastay ho
mujh ko sham bata deti haitum kaisay kapray pehanay ho
tum tanaha duniya se lardo gaybachchoon C batien keratay ho
********************

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi

Sitaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na HogiYeah Naghmay Gungunanay Se Muhabbat Kum Na HogiMain Teri Chund Yadoon Ko Gazal Ka Roop De DoongaTumharay Aazmanay Se Muhabbat Kum Na HogiDuaoon Ke Tabassum Se Ghataoon Ka Jigar PiglayMager Yoon Muskuranay se Muhabbat Kum Na HogiNashemun Zindagi Ka Noor Se Bhi Khoob Roshan HaiSumander Ke Lutna Se Muhabbat Kum Na HogiFaraq-o-Wasal Ki Batien To Touheen -e- Muhabbat HainKisi Ke Door Janay Se Muhabbat Kum Na HogiCharaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Her Ghari Her DumKe Teray Yoon Satanay Se Muhabbat Kum Na Hogi
********************

Kahien Aisa kabhi Dekha nahi

Kahien Aisa kabhi Dekha nahiWo maira ho ke bhi maira nahi
Sumander banta phirta hai panimager ab koi bhi piyasa nahi hai
yeah kin rastoon pe chalta jaa raha hoonyahan to door tuk saya nahi hai
Wo jumla jo abhi bola nahi haiuse keh do ke yeah accha nahi hai
Use mil ker yehi jana main nienSumunder is Qader gehra nahi hai
Main dil ko kis tarah samjhaoonKoi bhi lout ke ata nahi hai
********************

Kabhi tum laut ke aao, mujhy bas itna smjhao,

Kabhi tum laut ke aao, mujhy bas itna smjhao,
kahan say seekh li tum nay ada mujh ko bhulane ki…tumhain mujh se jo shikwa tha, yan koi bhi shikayat thizehmat to zara si thi, na ki koshish batnay ki….Bhala yoon chorde ke apna, koi apnoon ko jata haimusalsal dukh ki baarish main, jewan bhar rulata haiAbhi to rait geeli hai, banay apney gharondon ki…abhi sab naqsah baqi hain, gaye qadmaon pay laut aao…Mujhay bas itna samjhao,Kahan se seekh li tum nay Ada mujh ko bhulane ki…
********************

Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi

Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi
Mujhe Manziloon Ka Pata Bhi Tha
Mujhe Raastoon Ki Khaber Bhi Thi
Main Bashar Jo Tha , Maira Dil Bhi Tha
Mairay Dil Main Rang Bikhairti Hoi
Khuwhishoon Ka Hajoom Bhi Tha
Mairy Zindagi Ke Khalaoon Main
Kaye Tairtay Howay Khowab Thay
Mujhay Maangnay Ka Shaoor Tha
Mairay Lab Pay Hurf -e- Dua Bhi Tha
Main Bashar Jo Tha
Mujhe Roshni Ki Talab Jo Thi
Mujhe Raasto Ki Khabar Tu Thi
Mujhay Manzilo Ka Gumaa Tu Tha
Tu Nien Phir Bhi kaisay Samajh Liya
Koi Aarzo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujhe Tujh Say Bhar Kar Aziz Hai
Kabhi Is Taraf Se Guzar Howa
Tu Nazar Bacha Ke Yeah Dekhna
TERAY Baad Jitni Basar Hoi
Isay “UMAR” Kehna Durust Hai ??
********************

Kisi Kay Pass Anay Say

Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay SayMohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay HainNahi Hota Asar inn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say
Dil e Betab ne Surat Teri Esi Sajaee HayKabhi bhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay bhi Mitanay Say
Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa kartaNahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say
Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi to Tanha HoonNahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say
********************

koii adaa shanaas-e-muhabbat hamen bataaye

koii adaa shanaas-e-muhabbat hamen bataayejo ham ko bhuul jaaye vo kyon ham ko yaad aaye
kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaayevo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye
ik dil nashiin nigaah men allaah ye Khalishnashtar kii nok jaise kaleje men TuuT jaaye
kuchh ham se beKhudii men huii behijaabiyaaNchashm kazanii sitaaron ne kii phuul muskuraaye
vo jaan-e-aarazuu ke hai saramaayaa-e-nishaatkyon us kii yaad Gam kii ghaTaa ban ke dil pe chhaaye
tum to hamiin ko kahate the ye tum ko kyaa huaadekho kaNval ke phuul se shabanam chhalak na jaaye
ik naatamaam Khvaab mukammal na ho sakaaaane ko zindagii men bahut inqalaab aaye
********************

BE NAAM MUSAFIR HOO BE NAM SAFAR MERA

BE NAAM MUSAFIR HOO BE NAM SAFAR MERAKIS RAAH SE NIKAL JAO KUCH KEH NAHI SAKTI
BE NAM MERI MANZIL BE NAM THIKANA HAIKIS DAR P MAIN RUK JAON,KUCH KEH NAHI SAKTI
IS PAR TU ROSHAN HAI SARA MERA RASTAUS PAAR ANDHERA HO,KUCH KEH NAHI SAKTI
TINKAY KI TARAH MAI BEH JAON SAMANDER MAIMIL JAYEGA KINARA KUCH KEH NAHI SAKTI
MIL JAYEGE TABEER MERE KHUWABO KI AIK DINYAH KHUWAB BIKHAR JAYEN,KUCH KEH NAHI SAKTI.....
********************

Samandar Kya Kareyenge Khatra Shabnam Chura Layein

Samandar Kya Kareyenge Khatra Shabnam Chura LayeinAgar Mumkin Hai Zakhm-e-Hijar Ka Marhum Chura Layein
Tumhara Saath Hai Tou Ek Bas Apna Hi Jiwan KyunJahan Walun Ki Sari Umarr Aao Hum Chura Layein
Baharun Ke Chale Jane,Khazan Aaney Ka Darr Na HoKoi Aisa Mohabbat Ka Naya Musam Chura Layein
Khabar Ho Nind Ki Pariyun Ko Na Khwabun Ki Devi KoTumhe Palkun Ki Doli Mein Bethakar Hum Saja Layein
Sada Ki Muskurahat Unkey Huntun Pe SajaNe KoChalo OMAR Zara Chupke Sey Unke Gham Chura Layein..!!
********************

Phir shab-e-gham ne mujhe

Phir shab-e-gham ne mujhe shakal dikhaii kiyo.kerYe balaa ghar se nikaalii hue aaii kiyo.ker
Tu ne kii ghair se merii buraii kiyo.kerGar na thii dil main to lab par tere aaii kiyo.ker
Tum dil-aazaar-o-sitam_gar nahii main ne maanaMaan jaaye gii issay saarii Khudaii kiyo.ker
Aaiinaa dekh ke wo kehne lage aap hii aapAise achchon kii kare koii buraii kiyo.ker
Kasrat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaaItane se dil main hai itano kii samaii kiyo.ker
Daagh kal tak to duaa aap kii maqabool na thiiAaj munh maangii muraad aap ne paaii kiyo.ker
********************
********************

Haq wafaa kaa jo ham jataane lagay

Haq wafaa kaa jo ham jataane lagay Aap kuch kahkay muskuranay lagay
Ham ko jiinaa paDay gaa furqat main Vo agar himmat aazamanay lagay
Dar hai merii zubaaN na khul jaaya Ab vo baaten bahut banaa nay lagay
Jaan bachatii nazar nahin aatii Gair ulfat bahut jataa nay lagay
Tum ko karanaa paDay gaa uzr-e-jafaa Ham agar dard-e-dil sunaa nay lagay
Bahut mushkil hai shevaa-e-tasliim Ham bhii aaKhir ko jii churaane lagay
Vaqt-e-ruKhsat thaa saKht "Hali" par Ham bhii baiThay thay jab vo jaane lagay
********************

Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun

Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun Dast-bastaa shahar main khole merii zanjiir kaun
Meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh lay Kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun
Aaj darvaazon pe dastak jaanii pahachaanii sii haiAaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun
Niind jab Khvaaboon say pyaarii ho to aisay ahad main Khvaab dekhay kaun aur Khvaaboon ko day taabiir kaun
Raiet abhii pichhale makaanon kii na vaapas aaii thii Phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun
Saaray rishtay hijraton main saath detay hain to phir Shahar say jaatay hoa hotaa hai daaman giir kaun
Merii chaadar to chheenii thii shaam kii tanhaaii nay Beridaaii ko merii phir day gayaa tashahiir kaun
Dushmanon kay saath meray dost bhii aazaad hain Dakhanaa hai khenchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun
********************

yahaan se ab kahein le chal Khayaal-e-yaar mujhey

yahaan se ab kahein le chal Khayaal-e-yaar mujheychaman main raas na aayegi ye bahaar mujhey
teri latif nigahon ki Khaas jumbish nebanaa diyaa teri fitarat kaa razadaar mujhey
meri hayaat kaa anjaam aur kuchh hotaajo aap kehtey kabhi apna jaan-nisaar mujhey
badal diyaa hai nigaahon ne ruKh zamaane kaakabhi rahaa hai zamaane pe iKhtiyaar mujhey
ye haadasaat jo hain iztaraab kaa paighaamye haadasaat hi aayengey saazagaar mujhey
********************

Musalsil roktii hoon iss ko shahar-e-dil main aaney se

Musalsil roktii hoon iss ko shahar-e-dil main aaney seMagar wo kohkan rukta nahin deewaar dhaanay se
Bhala kiya dukh ke aangan main sulagtii larkiyan jaanainKahin chuptay hain aansoo aanchalon main moo chupanay se
Abhii tu fasal taaza hai humaare harf-o-maanay kiiAbhii dartay nahin hum mousamon ke aane jaane se
Abhii to ishq main aankhain bujhii hain, dil salaamat haiZaminain baanjh hotii hain kabhii fasalain jalaanay se
Tujhe tanha mohabat ka ye dariya paar kerna haiNidaamat hogii iss ke hoslon ko aazmanay se’
********************

Dil Hijr ke dard se bojhal hai,

Dil Hijr ke dard se bojhal hai, Ab aan milo to behter haiIs baat se hum ko kya matlab, Yeh kaisay ho yeh kyunkar ho
Ek bheek ke donon kasay hain, Ek pyaas ke donon pyase hainHum khetey hain, Tum badil ho, Hum nadya hain tum sagar ho
Yeh dil hai keh jaltay seenay main, Ek dard ka phora allhar saNa chup rahay na phoot bhaye, koi marham ho koi nishter ho
Hum sanjh samay ki chaya hain, Tum charhti raat ki chandarmanHum jatay hain, Tum aatay ho, Phir milne ki sorat kyunkar ho
Ab husn ka rutba aali hai, Ab husn se sehra khali haiChal basti main banjara ban, Chal nagri main sodagar ho
Ab Insha jee ko bulana kya, Ab pyar ke deep jalana kyaJab dhoop aur chaya ek se hon, Jab din aur raat barabar ho
Woh raatein chand ke sath gayein, woh baatein chand ke sath gayeinAb Sukh ke sapnay kya dekhain, Jab dukh ka sooraj sar par ho
********************

arma'n jo machalte hain, dikhana hii parhega

arma'n jo machalte hain, dikhana hii parhegachahat mai usulo'n ko bhulana hii parhe ga
milne ki gharhi aayee tau phir sochna kaisaye muamla e ishq hai jana hii parhe ga
paya tha jisey tum ne hazaro'n mai sabhi sekhoya hai tau ab dhoondh k lana hii parhe ga
iss dard e mohabbat ko chupane se kya haasilye zakhm zamane ko dikhana hii parhe ga
manzil hoo'n mai ja'ogay kaha'n chhorh k mujhkoraho'n mai meri laut k aana hii parhe ga
ik tumm ho jisey quol e wafa yaad nahii haiharr baar hamai'n yaad dilana hii parhe ga
darya e mohabbat k jo aankho'n mai chhupi haitoofa'n ko zuba'n par tumhe lana hii parhe ga
uss dill mai jaga palo, ye aasa'n nahii maiyar e mohbaat ko utthana hii parhe ga
********************

yun chahay mujhay aisi qissmat kahan thi

yun chahay mujhay aisi qissmat kahan thi
Kahan main kahan tuu ye nisbat kahan thi
Teri berukhi say ye dil muztarib tha
Mera haal Tuu janay Tujhay fursat kahan thi
Meri chahaton ki tujhay kia khabar thi
Tu sochay mujhay ye teri fitrat kahan thi
Tujhay apnay man say nikaloon too kasay
Main paa loun tujhay ye meri qismat kahan thi
Jo ban jata mera kaheen humsafar tuu
Bhala aisi apni qismat kahan thi
Jisay sunn kay tuu nay nigahain jhukaa leen
Ye noha tha mera shikayat kahan thi
Tu jo khuch bhi tha ik veham tha mera
Fareb e nazar tha haqeeqat kahan thi..........
********************

Aqal say hota nahi rehmat ka aNdaza yahaN

Aqal say hota nahi rehmat ka aNdaza yahaN
Khood bakhood he ghaib say khulta hay darvaza yaha
Nhay yahi dunia mkafat-e-amal ay bay khabar khaiNchta ja ishrat-e-fani ka khamyaza yahaN dekh to apnay amal ko takya shuhrat per na karkaam kuchh deta nahi do din ka aawaza yahaNgham baRi shay hay yeh daulat hath say janay na pa'aymuntashir honay no pa'ay gham ka sheraza yahaNaye gulistan-e-watan, teri hava ko kia hovaghuNcha-e-dil kia rahay ga ab tro taza yahaN
********************

Mohabbat ka to gham hota bohat hai,

Mohabbat ka to gham hota bohat hai,
K ab yeh lafz bhi ruswa bohat hai
Udasi ka sabab mein kia bataon,
gali koochon mein san'nata bohat hai
Na milney ki qasam kha kar bhi mein ne,
tujhay har raah mein dhondha bohat hai
Yeh ankhein aur kia dekhein kisi ko,
in ankhon ne tujhay dekha bohat hai
Najanay kiyon bacha rakhay hain ansu,
abhi shayad mujhay rona bohat hai
Tujhay maloom to ho ga meray hamdam,
tujhay ik shakhs ne chaha bohat hai
********************

Main Eltifaat-e-Yaar Ka Qail NAhi Hoon Dost

Main Eltifaat-e-Yaar Ka Qail NAhi Hoon DostSonay K Narm Taar Ka Qail Nahi Hoon Dost
Mujh Ko Khizan Ki Aik Louti Raat Se Piyar Hai Main Ronaq-e-Bahar Ka Qail Nahi Hoon Dost
Har Sham Vesal Ho Nayi Tuhmeed-e-AarzuItna Bhi Intazaar Ka Qail Nahi Hoon Dost
Do Char Din Ki Baat Zindagi Ki BaatDo Char Din K Piyar Ka Qail Nahi Hoon Dost
Jis Ki Jhalak Se Manid Ho aashkoon Ki AabroUs Motiyoon K Har Ka Qail Nahi Hoon Dost
Laya Hoon Behisab Gunahoon Ki Aik FardMehboob Hoon Shumar Ka Qail Nahi Hon Dost
Saghar Baqader-e-Zarf Loutata Hon Naqad-e-HoshSaqii Se MAin Udhar Ka Qail Nahi Hoon Dost
********************

Teri hijraton ka malal tha'magar ab nhi,

Teri hijraton ka malal tha'magar ab nhi,
Mujhy sirf tera khayal tha'magr ab nhi,
Teri bymasal Mohabbton k nisar mein,
Tu zamany bhar main misal tha'magar ab nhi,
Jisy tune dard ata kia'wohi,
Teri Qurbaton main nihal thi'magar ab nhi,
Main teri talash main reza reza bikhar gaee,
Woh junoon-e-shoq-e-wisal tha'magar ab nhi,
Tere dar py aakhri bar aa k palat gaee,
Meri zandagi ka sawal tha'magr ab nahi. . .
********************

Woh Azam Ho K Manzil-e-Baidar Hans PAray

Woh Azam Ho K Manzil-e-Baidar Hans PAray
Har Naqsh-e-Paa Pe Jurat-e-Rahwar Hans PAray
Abb K Bars Bahar Ki Soorat Badal Gayi
Zakhmoon MAin Agg Lag Gayi Gulzar Hans PAray
Us Dastan-e-Dard Ki Tuhmeed Aap Hain Jis Dastan-e-Dard Per Ghumkhuwar Hans PAray
Hairaan Ho Rahi Hai Shagofay Pe Chandni Shayd Qafs Pe Aaj Giraftar Hans PAray
Lout Jaye Teray Naam Se Har Talkhi-e-JafaWoh Kaam KAr K Har Bekas-e-Nadar Hans PAray
Meray Junnon Nay Aaj Woh Sajda Adda Kia Bout Khana-e-Hayat K Asar Hans PAray
Phir Shadmaan Hoye Hain Kharabe Hayat K Saghar Kisi K Gayso-e-Khamdar Hans Paray
********************

Tum meri aankh ke tevar na bhula paaogi

Tum meri aankh ke tevar na bhula paaogiUnkahee baat ko samjhogi tu yaad aaon ga
Hum ne khushioun ki tara dukh bhi ikatthe dekheSafa-e-ziist ko paltogi tu yaad aaon ga
Esi andaaz mein hote the mukhatib mujh seKhat kisi aur ko likhogi tu yaad aaon ga
Sard raaton ke mahakte hovay san-na-toun meinJab kisi phool ko chumogi tu yaad aaon ga
Ab tere ashk mein honton se churaa leta hounHaat se khud inhein ponchogi tu yaad aaon ga
Shaal pahnaaye ga ab kaun disambar mein tumheinBarishon mein kabhi bheego gi tu yaad aaon ga
Aaj tum mafil-e-yaara’an pe ho maghroor bohotJab kabhi tuut ke bikhro gi tu yaad aaon ga
Haadse aayeinge jivan mein tu tum hoke nidhaalKisi divaar ko thaamo gi tu yaad aaon ga
Es mein shaamil hai meri bakht ki taareeki bhiTum siyaah rang jo pahno gi tu yaad aaon ga
********************

beshak na mere saath safar ikhtiyar ker...

beshak na mere saath safar ikhtiyar ker...
ae mere badguman mera aaitbar ker...
woh khud to titliyon ko liye ghoomta raha...
aur mujh ko khat mein likhta raha intezar ker...
ab in ke kaafley to kahin door ja chukey...
jin ki talab mein aaye the sehra guzar ker...
mein ne to tere hijar ka dukh jhail hi liya..
.ab tu bhi khud ko waqf-e-rah intezar ker...
kab hosaki hai un ki samandar se dosti...
 matti ke in gharondon pe kam inhesar ker...
fursat mile to dekh mere dil ke aaeene..
.aankhon se apni kaghazi pardey utaar ker...
__________________